Thursday, March 27, 2008

Hostel Life

Dear friends
Sharing some of my precious moments of my Hostel Life during my MCA ....
These are the lines straight from my heart to a piece of paper...


raah dekhi thi is din ki kabse
aage ke sapne saja rakhe the naajane kab se

bade utavle the yahaan se jaane ko
zindagi ka agla padaav paane ko

par naa jane kyon ..dil mein aaj kuch aur aata hai
waqt ko rokne ka jee chahta hai
jin baton ko lekar rote the

aaj un par hansi aati hai
na jaane kyon aaj un palon ki yaad bahut aati hai

kaha karte the ..badi mushkil se teen saal seh gaya
par aaj kyon lagta hai ki kuch peeche reh gaya

na bhoolne wali kuch yaadein reh gayi
meri taang ab kaun kheencha karega

sirf mera sir khane kaun mera peecha karega
jahaan 2000 ka hisaab nahin wahaan 2 rupay ke liye kaun ladega
kaun raat bhar saath jag kar padega

KAUN MERI cheezein mujse pooche bina lejayega
kaun mere naye naye naam banayega
mein ab bina matlab kis se ladoonga
bina topic ke kisse faalto baat karoonga

kaun fail hone par dilasa dilayega
kaun galti se number aane par gaaliyaan sunayega

Sadak mein cig kis ke saath piyoonga
wo haseen pal ab kis ke saath jiyoonga

Sadana par Beer kis ke saath piyoonga
wo haseen pal ab kis ke saath jiyoonga

kaun muje mere kabiliyat par bharosa dilayega
aur jyada hawa mein udne par zameen pe layega

meri khushi mein sach mein khush kaun hoga
mere gam mein muj se jyada dukhi kaun hoga

aise dost kahaan milenge
jo khai mein bhi dhakka de aayein
par fir tumhein bachane khud bhi kood jayein

mere gaano se pareshaan kaun hoga
kabhi muje kisi ladki se baat karte dekh hairaan kaun hoga

kaun kahega saale tere joke pe hansi nahin aai
kaun peeche se bula ke kahega..aage dekh bhai

movies mein kiske saath dekhhonga
kis ke saath boring lectures jheloonga

mere certificates ko raddi kehne ki himmat kaun karega
bina dare sachi rai dene ki himmat kaun karega
achanak bin matlab ke kisi ko bhi dekh kar paglon ki tarah hansna
ye sab fir kaun karega

usse chori chori pyar kaun karega
kaun uski har ek ada pe marega

kaun usse itna satayega
fir baad mein khud hi manayega

raat ko usske phone ka intzaar kaun karega
kaun uski choti- choti baton se pyaar karega

games khelte hue kaun ladega
fir jitne par kaun gale milega

raat ko diwar kud kar bahar kaun jayega
gate wale uncle ko bewakuf kaun banayega

wo nassa sir se bin matlan behas kaun karega
raat ko darwaje mein kundi kaun lagayega

meter trip karke kaun bhagega
bhoot bankar ab kaun darayega

bathroom mein bomb kaun phodega
bina b'day ke bumps kaun dilayega

na jaane ye fir kab hoga

keh do doston ye dobaara sab hoga
keh do doston ye dobaara sab hoga

i will never forget these precious moments

doston kabhi waqt mile to yaad kar liya karna
stay in touch

No comments:

Post a Comment